Monsoon Song
Baarish Sanjh Ki
Aisi lagti hai,
Jaise tapta hua din,
Thak ke baras pada ho dhara pe
Dhaunkani si
Phooolti sanson ki
Nikal gayi ho hawa
Kisi gubbare ki tarah,
Aur Kaandhon pe lada
Paani ka bhari badal,
Bus Sambhala na gaya
Baras pada
Tez Baarish Mein
Bheegti Dharti
Bharne lagti hai apne ank mein
naale-o-nadi
Aur Phir Bojh Se
Farig Hokar
Aasman Uda Uda
Khula Khula
Dhula Dhula
Jaise madmast hua
Pekar Koi Sindori Sura
Baarish Sanjh Ki
Aisi lagti hai,
Jaise tapta hua din,
Thak ke baras pada ho dhara pe
Dhaunkani si
Phooolti sanson ki
Nikal gayi ho hawa
Kisi gubbare ki tarah,
Aur Kaandhon pe lada
Paani ka bhari badal,
Bus Sambhala na gaya
Baras pada
Tez Baarish Mein
Bheegti Dharti
Bharne lagti hai apne ank mein
naale-o-nadi
Aur Phir Bojh Se
Farig Hokar
Aasman Uda Uda
Khula Khula
Dhula Dhula
Jaise madmast hua
Pekar Koi Sindori Sura
1 comment:
क्या खूब लिखा है जनाब|
Post a Comment