DOORSTEP TO DOOM
Mein kabhi kabhi khud ko
Paap ke dar pe paata hoon,
Sab kuch dekhta hoon
Khud kuch karta nahi
Paap ke bare mein sochna bhi
Kya kufr hota hoga?
Yun to zindagi bina paap ke bhi ji jaati hai,
Par us khoon ka swad chakhne ko
Kyon mann mujhe keechta hai,
Khada kar deta hai us dehleej par
Jiske paar nahi koi khuda,
Bin khudaon ke bhi kya zindagi hoti hogi!
Wahan ka nazaara bhi bada dilkash hai,
Jaise befikr jiye ja raha hoon kisi aur ke din,
Par us dar se laut kar din-o-raat mere,
Na jaane kiske hain, kyon hai khwamakhwa
Yun to ram ke karam se
Sab kuch hai
Paap ke siwa,
Thode pheeke se lagte hain
Kabhi Kabhi ye din
Kya Karen? Kya Dehleej Par Karen?
Mein kabhi kabhi khud ko
Paap ke dar pe paata hoon,
Sab kuch dekhta hoon
Khud kuch karta nahi
Paap ke bare mein sochna bhi
Kya kufr hota hoga?
Yun to zindagi bina paap ke bhi ji jaati hai,
Par us khoon ka swad chakhne ko
Kyon mann mujhe keechta hai,
Khada kar deta hai us dehleej par
Jiske paar nahi koi khuda,
Bin khudaon ke bhi kya zindagi hoti hogi!
Wahan ka nazaara bhi bada dilkash hai,
Jaise befikr jiye ja raha hoon kisi aur ke din,
Par us dar se laut kar din-o-raat mere,
Na jaane kiske hain, kyon hai khwamakhwa
Yun to ram ke karam se
Sab kuch hai
Paap ke siwa,
Thode pheeke se lagte hain
Kabhi Kabhi ye din
Kya Karen? Kya Dehleej Par Karen?
3 comments:
wah nupur miyaan.... ekdum lapak shayaari likhi hegi...
lol...welcome back :)
Lovely!!!
I'd say this is the most honest unashamed peice of art from you Nupur. Simply beautiful!!
Yeh to samaj samaj ke baat hai. Kya paap ke bare mein sochna paap mein shamil hona nahi lagta huzoor.Hamare nazariye mein aapne Dehleej Pa kar di hai jannab. Ab befikar hoke wahan ka lutf uthayiye.
Post a Comment